اردو हिंदी
Ek tarannum sa mere paon ki zanjir mein hai | Shaahi Shayari
ek tarannum sa mere paon ki zanjir mein hai

Ghazal

Ek tarannum sa mere paon ki zanjir mein hai

Noor Bijnauri

;

ek tarannum sa mere paon ki zanjir mein hai
phir koi fasl-e-bahaaran meri taqdir mein hai

jhilmilate hain sitare ki diye julte hain
kuchh ujala sa teri zulf-e-girah-gir mein hai

kuchh tera husn bhi hai sada-o-masum bahut
kuchh mera pyar bhi shamil teri taswir mein hai

aur baDhti hai isi shaKHs ki chahat naseh
ye karamat ajab aap ki taqrir mein hai

apni khoi hui chhini hui jannat ka suragh
halqa-e-dar mein hai jumbish-e-shamshir mein hai

main jo chahun to pighal jaen judai ke pahaD
ye bhi tasir mere nala-e-shab-gir mein hai

mah-o-KHurshid zamin par nahin utre ab tak
mera har KHwab abhi parda-e-tabir mein hai