اردو हिंदी
Ek taraf talab teri ek taraf zamana hai | Shaahi Shayari
ek taraf talab teri ek taraf zamana hai

Ghazal

Ek taraf talab teri ek taraf zamana hai

Shafiq Ahmad

;

ek taraf talab teri ek taraf zamana hai
puchhta hai dil mujh se kis taraf ko jaana hai

mere ghar wo aaega aaj ghar sajaana hai
is taraf ki chizon ko us taraf lagana hai

naqsh-ha-e-rangin ka ek nigar-KHana hai
zindagi haqiqat hai zindagi fasana hai

jazba-e-junun-e-ishq go bahut purana hai
phir bhi taza-tar hai ye phir bhi walihana hai

paenge KHushi bhi hum ranj-o-gham bhi jhelenge
is jahan mein jab tak apna aab-o-dana hai

dushmanon ke tane hain doston ki tanqiden
tir saikaDon hain aur ek dil nishana hai

aatishin hai lahja bhi guftugu bhi barudi
sochiye 'shafiq' us se kis tarah nibhana hai