ek tamanna ki sahar se kahin kho jati hai
shab ko aa kar mere aaghosh mein so jati hai
ye nigahon ke andhere nahin chhaTne pate
subh ka zikr nahin subh to ho jati hai
rishta-e-jaan ko sambhaale hun ki aksar teri yaad
is mein do-chaar guhar aa ke piro jati hai
dil ki taufiq se milta hai suragh-e-manzil
aankh to sirf tamashon hi mein kho jati hai
kab mujhe dawa-e-ismat hai magar yaad us ki
jab bhi aa jati hai daman mera dho jati hai
naKHuda chaara-e-tufan kare koi warna
ab koi mauj safine ko Dubo jati hai
kar chuka jashn-e-bahaaran se main tauba 'haqqi'
fasl-e-gul aa ke meri jaan ko ro jati hai
Ghazal
Ek tamanna ki sahar se kahin kho jati hai
Shaanul Haq Haqqi