ek sitara jo aasman mein hai
teri sochon ke darmiyan mein hai
man ke qadmon mein jo sukun hai miyan
wo zamin par na aasman mein hai
lafz kaDwe hain tere lahje ke
zahar kitna teri zaban mein hai
mera kirdar wo nahin lekin
zikr mera bhi dastan mein hai
tu azal se meri mohabbat hai
to abad tak mere dhiyan mein hai
dekh patthar se ab bhi rista hai
jaane kis ka lahu chaTan mein hai
tere jaane ke baad se ab tak
ek udasi mere makan mein hai
aur bhi hain bahut hasin 'ansar'
dil-e-KHush-fahm kis guman mein hai

Ghazal
Ek sitara jo aasman mein hai
Rashid Qayyum Ansar