ek sharar-e-girafta-rang hun main
phul se le ke ta-ba-sang hun main
baad-e-sarsar ki tarah garm-e-inan
sina-e-reg ki umang hun main
zarre zarre ne kar diya hairan
aur hairaniyon pe dang hun main
fath bhi ek shikast hi hogi
aarzuon se mahw-e-jang hun main
kaise tujh ko baha ke le jaun
mauj-e-ham-saya-e-nihang hun main
shahar-o-sahra ki kuchh nahin taKHsis
wusat-e-dasht-e-jaan se tang hun main
kis ne dekha fishaar-e-mauja-e-jaan
aaj tak aab-e-zer-e-sang hun main
Ghazal
Ek sharar-e-girafta-rang hun main
Sahar Ansari