اردو हिंदी
Ek shama sari raat jali teri yaad mein | Shaahi Shayari
ek shama sari raat jali teri yaad mein

Ghazal

Ek shama sari raat jali teri yaad mein

Khalish Dehlvi

;

ek shama sari raat jali teri yaad mein
har samt raushni si rahi teri yaad mein

meri yaqin na ho to sitaron se puchhna
be-KHwab chandni bhi rahi teri yaad mein

duniya mein rah ke daur zamane se ho gae
har shakl ajnabi si lagi teri yaad mein

daman gulon ne chaak kiye tere nam par
shabnam bhi ashk-bar rahi teri yaad mein

viraniyon ke daur mein phulon ke silsile
ye bhi 'KHalish' ne KHub kahi teri yaad mein