ek shama ki surat mein manzur kiya jaun
ek ghar ki hifazat par mamur kiya jaun
apne se bichhaDne ki kuchh fikr nahin lekin
aisa na ho us se bhi ab dur kiya jaun
ek yaad se mas ho kar zanjir pighal jae
ek gul ki mohabbat se maKHmur kiya jaun
aisa na ho duniya ki wusat se nikalte hi
apne mein simaTne par majbur kiya jaun
ai raat agar main bhi ek tera sitara hun
suraj ke nikalte hi be-nur kiya jaun
aisa ho ki ek lamha meri bhi gawahi de
aisa ho ki ek dil ka dastur kiya jaun
Ghazal
Ek shama ki surat mein manzur kiya jaun
Ghulam Husain Sajid