ek shama ka saya tha ki mehrab mein Duba
ek main ki tere hijr ke girdab mein Duba
meri shab-e-tarik ka chehra hua raushan
suraj sa koi sham ko mahtab mein Duba
hai dida-e-be-KHwab mera kitna farebi
jab dekhiye lagta hai kisi KHwab mein Duba
dil tha ki koi khel mein phenka hua patthar
maujon se jo laDta hua talab mein Duba
khulta hai faqat itna wo az-rah-e-murawwat
milta hai magar majlisi aadab mein Duba
patal ki gahrai se ubhra mera aansu
chupke se phir ek kuza-e-be-ab mein Duba
tha jis ka falak-bos fasilon mein tahaffuz
wo ghar bhi mera waqt ke sailab mein Duba
Ghazal
Ek shama ka saya tha ki mehrab mein Duba
Mustafa Shahab