ek shakl be-irada sar-e-baam aa gai
phir zindagi mein faisle ki sham aa gai
dasht o makan ke fasle be-rang-o-nur the
ek rang le ke gardish-e-ayyam aa gai
wo rahguzar jo aai to sar ko saja liya
daman ki KHak aaj mere kaam aa gai
phir ek hisar TuT gaya iKHtiyar ka
phir ek sada-e-kucha-e-ilzam aa gai
hum bolte rahe to rahe lafz sang-e-rah
chup ho gae to manzil-e-ilham aa gai
'sabir' zamin pe ranj bhi us ne utare hain
lekin ye fard-e-jurm mere nam aa gai
Ghazal
Ek shakl be-irada sar-e-baam aa gai
Sabir Waseem