اردو हिंदी
Ek shaKHs raat band-e-qaba kholta raha | Shaahi Shayari
ek shaKHs raat band-e-qaba kholta raha

Ghazal

Ek shaKHs raat band-e-qaba kholta raha

Zaheer Kashmiri

;

ek shaKHs raat band-e-qaba kholta raha
shab ki siyahiyon mein shafaq gholta raha

tanhaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad
saya sa ek qarib mere Dolta raha

husn-e-bahaar KHub magar dida-e-bahaar
moti chaman ki KHak pe kyun rolta raha

us ne sukut ko bhi takallum samajh liya
kuchh is ada-e-KHas se dil bolta raha

hijran ki raat mashghala-e-dil na puchhiye
is zulf-e-KHam-ba-KHam ki girah kholta raha

hum kushtagan-e-KHwab giran-gosh hi rahe
suraj saron pe waqt-e-sahar bolta raha

us rah-e-jazb se bhi guzarna paDa 'zahir'
jis rah mein KHirad ka qadam Dolta raha