اردو हिंदी
Ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga | Shaahi Shayari
ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga

Ghazal

Ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga

Nihal Sevharvi

;

ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga
wo apni nigahon ka asar yaad to hoga

wo dhum zamane mein mere josh-e-junun ki
wo ghalghala-e-sham-o-sahar yaad to hoga

bhule to na hoge wo tajalli ki hikayat
wo tazkira-e-dagh-e-jigar yaad to hoga

har gam pe wo husn ki pur-hosh nigahen
wo ishq ka bad-mast safar yaad to hoga

har lamha wo duniya-e-mohabbat mein taghayyur
har sans mein wo rang-e-digar yaad to hoga

wo dil ko tere husn-e-KHud-ara se talluq
wo KHak se paiman-e-nazar yaad to hoga

wo kargah-e-dahr se ek be-KHabari si
wo tana-e-har-ahl-e-KHabar yaad to hoga

wo did ki tha ru-kash-e-araish-e-giti
pahron taraf-e-rah-guzar yaad to hoga

wo ishq ke jazbaat ka bharpur talatum
tufan ki maujon mein guzar yaad to hoga

gum-karda sukun pa ke mujhe apni gali mein
kahna wo tajahul se kidhar yaad to hoga

bholi to na hogi meri ulfat ki haqiqat
muddat ka fasana hai magar yaad to hoga