ek shaKHs ba-zamir mera yar 'mushafi'
meri tarah wafa ka parastar 'mushafi'
rahta tha kaj-kulah amiron ke darmiyan
yaksar liye hue mera kirdar 'mushafi'
dete hain dad ghair ko kab ahl-e-lucknow
kab dad ka tha un se talabgar 'mushafi'
na-qadri-e-jahan se kai bar aa ke tang
ek umr sher se raha bezar 'mushafi'
darbar mein tha bar kahan us gharib ko
barson misal-e-'mir' phira KHwar 'mushafi'
main ne bhi us gali mein guzari hai ro ke umr
milta hai us gali mein kise pyar 'mushafi'

Ghazal
Ek shaKHs ba-zamir mera yar mushafi
Habib Jalib