ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya
jaise mera nawishta-e-taqdir de gaya
ek dost mere qalb ki talif ke liye
kuchh zahr mein bujhae hue tir de gaya
barson ke baad us se mulaqat jab hui
bite dinon ki chand tasawir de gaya
ghere hue thi mujh ko shab-e-gham ki tirgi
wo muskura ke subh ki tanwir de gaya
chupke se raat aa ke mere ghar ke sahn mein
ek chand mere KHwab ki tabir de gaya
main apne e'timad ka ehsanmand hun
mujh ko zamane bhar mein jo tauqir de gaya
wo kaun tha kahan ka tha kya us ka nam tha
'rahi' jo tere sheron ko tasir de gaya
Ghazal
Ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya
Asghar Rahi