ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae
ye bhi mumkin hai bata de wo koi kaam ki baat
ek nujumi ko chalo hath dikhaya jae
dekhna ye hai ki kaun aata hai saya ban kar
dhup mein baiTh ke logon ko bulaya jae
ya meri zist ke aasar numayan kar de
ya bata de ki tujhe kaise bhulaya jae
us ke ehsan se inkar nahin hai lekin
naqsh pani pe 'zafar' kaise banaya jae
Ghazal
Ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
Zafar Zaidi