ek shagufta gulab jaisa tha
wo bahaaron ke KHwab jaisa tha
paDh liya hum ne harf harf use
us ka chehra kitab kaisa tha
dur se kuchh tha aur qarib se kuchh
har sahaara sarab jaisa tha
hum gharibon ke waste har roz
ek roz-e-hisab jaisa tha
kis qadar jald uD gaya yaro
waqt rang-e-shabab jaisa tha
kaise guzri hai umr kya kahiye
lamha lamha azab jaisa tha
zahr tha zindagi ke saghar mein
rang rang-e-sharab jaisa tha
kya zamana tha wo zamana bhi
har gunah jab sawab jaisa tha
kaun gardanta use qatil
wo to izzat-maab jaisa tha
be-hijabi ke bawajud bhi kuchh
is ke ruKH par hijab jaisa tha
jab bhi chheDa to ek fughan nikli
dil shikasta rabab jaisa tha
is ke ruKH par nazar Thahar na saki
wo 'hafiz' aaftab jaisa tha
Ghazal
Ek shagufta gulab jaisa tha
Hafeez Banarasi