ek sham ye saffak o bad-andesh jala de
shayad ki mujhe shola-e-dar-pesh jala de
is dil ko kisi dast-e-ada-sanj mein rakhna
mumkin hai ye mizan-e-kam-o-besh jala de
kis qaht-e-KHor-o-KHwab mein main mol ke laya
wo nan ki jo kasa-e-darwesh jala de
ruKHsat ko hai dariya-e-dil-aram-e-rawani
jo kuchh hai safine ke pas o pesh jala de
shayad ki kabhi KHak-e-kam-amez bala le
aur mujh ko pas-e-lauh-e-kam-andesh jala de
Ghazal
Ek sham ye saffak o bad-andesh jala de
Afzal Ahmad Syed