ek samundar shahr ko aaghosh mein leta hua
ek samundar tere mere darmiyan phaila hua
ek jangal jis mein insan ko darindon se hai KHauf
ek jangal jis mein insan KHud se hi sahma hua
ek dariya ju bujha deta hai maidanon ki pyas
ek dariya KHwahishon ki pyas ka chaDhta hua
ek sahra jis mein sannaTa bagule aur sarab
ek sahra hasraton ki ret bikhraata hua
ek mausam jo badalta hai nazar ke pairahan
ek mausam muddaton se fikr pe Thahra hua
ek gulshan hai ruton ke aane jaane ka asir
ek gulshan sab ruton mein zehn mahkata hua
Ghazal
Ek samundar shahr ko aaghosh mein leta hua
Mahmood Shaam