ek samundar ke hawale sare KHat karta raha
wo hamare sath apne gham ghalat karta raha
kya kisi badlaw se ye zindagi badli kabhi
kyun nai wo roz apni shaKHsiyyat karta raha
us ki tanhai ka aalam dosto mat puchhiye
ghar ki har diwar se wo maslahat karta raha
thi KHabar ab apne haq mein kuchh nahin baqi raha
jaan kar main kaghazon par dastaKHat karta raha
han use shaer zamana kah raha hai in dinon
jo diwana apne gham ki tarbiyat karta raha
aaj samjha Thokaron ke baad bhi hai zindagi
kyun ata mujh ko 'musafir' ye sifat karta raha
Ghazal
Ek samundar ke hawale sare KHat karta raha
Vilas Pandit Musafir