ek sail-e-be-panah ki surat rawan hai waqt
tinke samajh rahe hain ki wahm-o-guman hai waqt
parkho to jaise tegh-e-do-dam hai khinchi hui
Talo to ek uDta hua sa dhuan hai waqt
jo dil hadaf hua ho wo shayad bata sake
nawak bhi aap aap hi chaDhti kaman hai waqt
hum us ke sath hain ki wo hai apne sath sath
kis ko KHabar ki hum hain rawan ya rawan hai waqt
tariKH kya hai waqt ke qadmon ki gard hai
qaumon ke auj-o-past ki ek dastan hai waqt
agle suKHan-waron ne jise aasman kaha
sach puchhiye to aaj wahi aasman hai waqt
hamdam nahin rafiq nahin ham-nawa nahin
lekin hamara sab se baDa raazdan hai waqt
kal kaenat apne jilau mein liye hue
'jawed' hast-o-bud ka ek karwan hai waqt
Ghazal
Ek sail-e-be-panah ki surat rawan hai waqt
Abdullah Javed