اردو हिंदी
Ek safar par use bhej kar aa gae | Shaahi Shayari
ek safar par use bhej kar aa gae

Ghazal

Ek safar par use bhej kar aa gae

Sabir Waseem

;

ek safar par use bhej kar aa gae
ye guman hai ki hum jaise ghar aa gae

wo gaya hai to KHushiyan bhi sari gain
shaKH-e-dil par KHizan ke samar aa gae

lakh chaho magar phir wo rukte nahin
jin parindon ke bhi baal-o-par aa gae

hum to raste pe baiThe hain ye soch kar
jo gae the agar lauT kar aa gae

us se mil ke bhi kab us se mil pae hum
bich mein KHwahishon ke shajar aa gae

us ne us par apna basera kiya
hum ne dariya ko chhoDa idhar aa gae

ek dushman se milne gae the magar
ek mohabbat ke zer-e-asar aa gae