ek sadma dard-e-dil se meri jaan par to hai
lekin bala se yar ke zanu pe sar to hai
aana hai un ka aana qayamat ka dekhiye
kab aaen lekin aane ki un ke KHabar to hai
hai sar shahid-e-ishq ka zeb-e-sinan-e-yar
sad shukr bare naKHl-e-wafa barwar to hai
manind-e-shama girya hai kya shughl-e-turfa-tar
ho jati raat us mein bala se basar to hai
hai dard dil mein gar nahin hamdard mere pas
dil-soz koi gar nahin soz-e-jigar to hai
ai dil hujum-e-dard-o-alam se na tang ho
KHana-KHarab KHush ho ki aabaad ghar to hai
turbat pe dil-jalon ki nahin gar charagh o gul
sine mein sozish-e-dil o dagh-e-jigar to hai
ghaeb mein jo kaha so kaha phir bhi hai ye shukr
KHamosh ho gaya wo mujhe dekh kar to hai
kashti-e-bahr-e-gham hai mere haq mein tegh-e-yar
kar deti ek dam mein idhar se udhar to hai
wo dil ki jis mein soz-e-mohabbat na howe 'zauq'
behtar hai sang us se ki us mein sharar to hai
Ghazal
Ek sadma dard-e-dil se meri jaan par to hai
Sheikh Ibrahim Zauq