ek sabz rang bagh dikhaya gaya mujhe
phir KHushk raston pe chalaya gaya mujhe
tai ho chuke the aaKHiri sanson ke marhale
jab muzhda-e-hayat sunaya gaya mujhe
pahle to chhin li meri aankhon ki raushni
phir aaine ke samne laya gaya mujhe
rakkhe the us ne sare switch apne hath mein
be-waqt hi jalaya bujhaya gaya mujhe
chaaron taraf bichhi hain andheron ki chadaren
shayad abhi fuzul jagaya gaya mujhe
nikle hue the DhunDne KHun-KHwar jaanwar
kanTon ki jhaDiyon mein chhupaya gaya mujhe
ek lamha muskurane ki qimat na puchhiye
be-iKHtiyar pahle rulaya gaya mujhe
Ghazal
Ek sabz rang bagh dikhaya gaya mujhe
Shahid Meer