ek saya-dar peD ko jaD se ukhaD ke
kya mil gaya tujhe meri duniya ujaD ke
ab aur intizar kar ai khokhle badan
main aa raha hun madd-e-muqabil pachhaD ke
tanha mujhe basit KHala mein uDa diya
ham-zad ne bayaz-e-tasalsul se phaD ke
kyun chand ki taraf hain rawan kam-nigah log
dil ki rida se azmat-e-pasti ko jhaD ke
us KHud-numa ki rifat-e-buniyaad dekhiye
panw zamin-bos hain unche pahaD ke
shohrat ki aag asl mein ek naqsh-e-dud thi
bujh kar bikhar gai tera huliya bigaD ke

Ghazal
Ek saya-dar peD ko jaD se ukhaD ke
Maratib Akhtar