ek roz main bhi bagh-e-adan ko nikal gaya
toDi jo shaKH-e-rang-fishan hath jal gaya
diwar o saqf o baam nae lag rahe hain sab
ye shahr chand roz main kitna badal gaya
main so raha tha aur meri KHwab-gah mein
ek azhdaha charagh ki lau ko nigal gaya
bachpan ki nind TuT gai us ki chap se
mere labon se naghma-e-subh-e-azal gaya
tanhai ke alao se raushan hua makan
'sarwat' jo dil ka dard tha naghmon mein Dhal gaya
Ghazal
Ek roz main bhi bagh-e-adan ko nikal gaya
Sarvat Husain