ek roz hue the kuchh ishaaraat KHafi se
aashiq hain hum us nargis-e-rana ke jabhi se
karne ko hain dur aaj to tau ye rog hi ji se
ab rakkhenge hum pyar na tum se na kisi se
ahbab se rakhta hun kuchh ummid-e-sharafat
rahte hain KHafa mujh se bahut log isi se
kahta hun use main to KHususiyyat-e-pinhan
kuchh tum ko shikayat hai kasi se to mujhi se
ashaar nahin hain ye meri ruh ki hai pyas
jari hue sar-chashme meri tishna-labi se
aansu ko mere khel tamasha na samajhna
kaT jata hai patthar isi hire ki kani se
yaad-e-lab-e-jaanan hai charagh-e-dil-e-ranjur
raushan hai ye ghar aaj usi lal-e-yamani se
aflak ki mehrab hai aai hui angDai
be-kaif kuchh aafaq ki aaza-shikani se
kuchh zer-e-lab alfaz khanakte hain faza mein
gunji hui hai bazm teri kam-suKHani se
aaj anjuman-e-ishq nahin anjuman-e-ishq
kis darja kami bazm mein hai teri kami se
is wadi-e-viran mein hai sar-chashma-e-dil bhi
hasti meri sairab hai aankhon ki nami se
KHud mujh ko bhi ta-der KHabar ho nahin pai
aaj aai teri yaad is aahista-rawi se
wo DhunDhne nikli hai teri nikhat-e-gesu
ek rose mila tha main nasim-e-sahari se
sab kuchh wo dila de mujhe sab kuchh wo bana de
ai dost nahin dur teri kam-nigahi se
miad-e-dawam-o-abad ek nind hai us ki
hum muntahi-e-jalwa-e-jaanan hain abhi se
ek dil ke siwa pas hamare nahin kuchh bhi
jo kaam ho le lete hain hum log isi se
malum hua aur hai ek aalam-e-asrar
aaina-e-hasti ki pareshan-nazari se
is se to kahin baiTh rahe toD ke ab paon
mil jae najat ishq ko is dar-ba-dari se
rahta hun 'firaq' is liye warafta ki duniya
kuchh hosh mein aa jae meri be-KHabari se
Ghazal
Ek roz hue the kuchh ishaaraat KHafi se
Firaq Gorakhpuri