اردو हिंदी
Ek rose jo gulshan mein wo jaan-e-bahaar aae | Shaahi Shayari
ek rose jo gulshan mein wo jaan-e-bahaar aae

Ghazal

Ek rose jo gulshan mein wo jaan-e-bahaar aae

Hamid Allahabadi

;

ek rose jo gulshan mein wo jaan-e-bahaar aae
kaliyon pe shabab aae phulon pe nikhaar aae

nazron ke tasadum mein thin zabt ki takiden
kya jaane samajh kar gaya hum dil ko bhi haar aae

ehsas-e-takabbur mein had se na guzar jaen
shayad isi matlab se phulon mein bhi KHar aae

tauba ke taqaddus ka qail to hun main lekin
paimana baDha dena jab abr-e-bahaar aae

achchha hua 'hamid' ka duniya se guzar jaana
ek bojh tha jo sar se ahbab utar aae