ek rida-e-sabz ki KHwahish bahut mahngi paDi
waqt paDne par hamein barish bahut mahngi paDi
hath kya tape ki poron se dhuan uThne laga
sard rut mein garmi-e-atish bahut mahngi paDi
mom ki siDhi pe chaDh kar chhu rahe the aaftab
phul se chehron ko ye koshish bahut mahngi paDi
KHar-e-qismat kya nikale hath zaKHmi kar liye
naKHun-e-tadbir ki kawish bahut mahngi paDi
is amal ne to kahin ka bhi na rakkha dosto
KHud ko chahe jaane ki KHwahish bahut mahngi paDi
zikr-e-qahat-e-rang se pahle hi tale paD gae
har lab-e-taswir ko jumbish bahut mahngi paDi
tund-KHu maujon ne 'sajid' chand sahil kha liye
bahr-e-shab mein amn ki koshish bahut mahngi paDi
Ghazal
Ek rida-e-sabz ki KHwahish bahut mahngi paDi
Iqbal Sajid