ek raushni ka zahr tha jo aankh bhar gaya
har daera wo soch ka mafluj kar gaya
thi aaqibat ki KHamushi tanhaiyon ki chiKH
duniya ye kah rahi thi mera waqt mar gaya
jo shahr-e-dard mein tha ghani chhanw ka shajar
kuchh dhup thi kaDi ki KHala mein utar gaya
kya lutf-e-tishnagi tha mujhe kuchh KHabar nahin
kitne samundaron se main pyasa guzar gaya
kar ke jo barahna mujhe ghairon ki bhiD mein
wo mera dard-e-zindagi jaane kidhar gaya
ye ajnabi se log ye anjaan sa jahan
apne wajud se hi main shayad guzar gaya
Ghazal
Ek raushni ka zahr tha jo aankh bhar gaya
Sohan Rahi