ek ranj-e-umr de ke chala hai kidhar mujhe
galiyon mein rol den na mere baal-o-par mujhe
dil parbaton ke par na chal de hawa ke sath
baadal bana na de meri KHu-e-safar mujhe
main ne jinhen chhua unhen shahkar kar diya
ai kash chhu sake mera dast-e-hunar mujhe
tum se bichhaD ke umr bhar ek soch hi rahi
kya ho tum ek roz bhula do agar mujhe
be-barg-o-bar kar gai aandhi mera badan
KHush tha ye soch kar ki lage hain samar mujhe
ai dasht-dar dekh chaman-zar ki taraf
pag pag pukarte hain mere ham-safar mujhe
aazad kar 'najib' giraftar-e-ramz ko
rangon mein khol ai mere rang-e-hunar mujhe

Ghazal
Ek ranj-e-umr de ke chala hai kidhar mujhe
Najeeb Ahmad