ek raat hum aise milen jab dhyan mein sae na hon
jismon ki rasm-o-rah mein ruhon ke sannaTe na hon
hum bhi bahut mushkil na hon tu bhi bahut aasan na ho
KHwabon ki zanjiren na hon raazon ke virane na hon
ai kash aisa kar saken aankhon ko zinda kar saken
ye kya ki dil mein gard ho aankhon mein aaine na hon
hain tez duniya ke qadam shayad sajal chal paen hum
is beswa raftar mein yaadon se kyun rishte na hon
shauq-e-farawan se pare lazzat ke zindan se pare
us aag mein sulgen zara jis mein kabhi sulge na hon
Ghazal
Ek raat hum aise milen jab dhyan mein sae na hon
Saqi Faruqi