ek raat baKHt sun main rindan ka sat paya
irfan ke mulk-e-din par haq sun baraat paya
man-arafa-nafsahu ka anjan laga ko dekha
har chiz zat-e-haq bin main be-sabaat paya
yu nafs-e-dun hawa sun pakDe liya tha meri
murshid ki kafash uThain us sun najat paya
yu qaul o feal mera mujh iKHtiyar sun nin
hat panj mat ki main aapas ki zat paya
taslim kar apas kun us ki raza ke upar
mahbub ka apas par nit iltifat paya
ja but-kade mein dekha chashm-e-yagangi sun
haq bin nahin disya gar uzza-o-lat paya
ism-o-sifat ka jalwa ism-o-sifat mein dekha
har zat kun KHuda ki main ain-e-zat paya
qatra hai ain-e-dariya dariya hai ain-e-qatra
bhi donon ghair hi hain nadir yu baat paya
har shai hai ain-e-har-shai bhi shai hai ghair-e-har-shai
murshid ke lutf sun main kya KHub baat paya
mahtab-e-ilm sulga gul-rez marifat ke
kar jahal ko hawai KHush shabbaraat paya
run run zaban karun to us ki sana na sar si
'qurbi' karam sun haq ki kya KHush-nikat paya
Ghazal
Ek raat baKHt sun main rindan ka sat paya
Qurbi Velori