ek qurb jo qurbat ko rasai nahin deta
ek fasla ehsas-e-judai nahin deta
ek tirgi deti hai basarat ke qarine
ek raushni wo jis mein sujhai nahin deta
ek qaid hai aazadi-e-afkar bhi goya
ek dam jo uDne se rihai nahin deta
ek aah-e-KHata girya-ba-lab subh-e-azal se
ek dar hai jo tauba ko rasai nahin deta
ek shauq baDai ka agar had se guzar jae
phir main ke siwa kuchh bhi dikhai nahin deta
mat puchhiye chaalakiyan meri ki mera aib
ab ahl-e-nazar ko bhi dikhai nahin deta
Ghazal
Ek qurb jo qurbat ko rasai nahin deta
Nadeem Fazli