ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka
aaKHir kahin to KHatm ho virana dasht ka
mujh ko bhi gharq bahr-e-tamasha mein kar diya
ab had se baDhta jata hai diwana dasht ka
tawiz-e-ab ke siwa chaara nahin koi
aaseb-e-tishnagi se hai yarana dasht ka
tu ne shikast khai mahaz-e-qayam par
ab sikka-e-safar mein de harjaana dasht ka
hota nahin jo KHali kabhi jam-e-aftab
din bhar hi garm rahta hai mai-KHana dasht ka
ab zulmaton ka KHauf nahin KHak-e-shahr ki
raushan hai sham-e-reg se kashana dasht ka
aadab-e-munsifi se main waqif nahin 'hasan'
shahr-e-KHata mein karta hun jurmana dasht ka
Ghazal
Ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka
Hasan Aziz