ek qayamat waqt se pahle bapa hone ko hai
ai KHudae mehrban ab aur kya hone ko hai
mausam-e-gul mein KHizan saya-fagan hai kis liye
darpai aazar kya baad-e-saba hone ko hai
jism-o-jaan mein qurbaton ki intiha ho jae gar
jaan len phir duriyon ki ibtida hone ko hai
chhoD di main ne mata-e-KHwab duniya ke liye
hashr ek taqsim par us ki bapa hone ko hai
dil dhaDakta hai yunhi andesha-e-farda hai kyun
aisa lagta hai ki koi hadisa hone ko hai
jal chuka mera nasheman dekhna ye hai ki ab
aag phailegi kahan par aur kya hone ko hai
chand-taron ka safar 'rahi' karenge ek din
kaenat-e-be-karan ab zer-e-pa hone ko hai
Ghazal
Ek qayamat waqt se pahle bapa hone ko hai
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi