ek qayamat hai jawani ek qayamat hai shabab
har tabassum ek tufan har nazar ek inqalab
har taraf ek aah-o-zari har taraf ek iztirab
kitni saughaten liye aaya hai daur-e-inqilab
saghar-o-mina paTak de toD de chang-o-rubab
dekh sar par aa chuka hai aaftab-e-inqalab
ishq ke dastur duniya se alag dastur hain
is ki gumnami mein shohrat is ki KHamoshi jawab
ai meri nazron ki jannat kya tujhe malum hai
kis ke sadqe ho rahe hain aaftab-o-mahtab
main to kahta hun KHuda ka shukr karna chahiye
jaan de kar bhi jo ho jae mohabbat kaamyab
ai dil-e-gham-ashna ab to wo hum se chhuT gae
aur kya is se ziyaada hoga koi inqalab
un se baaten kar raha hun wo khaDe hain samne
jagta rahta hun lekin dekhta rahta hun KHwab
bandishen donon taraf pabandiyan donon taraf
ek paband-e-mohabbat ek paband-e-hijab
mujh ko ai 'shaarib' fishaar-e-qabr ka kya KHauf ho
main ghulam-e-shah-e-yasrib main ghulam-e-bu-turab
Ghazal
Ek qayamat hai jawani ek qayamat hai shabab
Sharib Lakhnavi