ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun
har sapne ko sachcha samjha main bhi kaisa pagal hun
beach dilon ke wo duri thi tai karna aasan na tha
aankhon ko ek rasta samjha main bhi kaisa pagal hun
baDa kiya tha pal-pos kar phir bhi ek din bichhaD gae
KHwabon ko ek bachcha samjha main bhi kaisa pagal hun
kanTe si KHud meri shohrat har-pal dil mein chubhti hai
fan ko khel-tamasha samjha main bhi kaisa pagal hun
tan par to ujle kapDe the lekin man ke kale the
un logon ko achchha samjha main bhi kaisa pagal hun
Ghazal
Ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun
Devmani pandey