ek qatra-e-mani se afkar ka dariya ho
ai zarra-e-agahi ab phail ke sahra ho
rafta rahe wabasta har haal dariche se
farda ke jharokon mein mazi ka ujala ho
ai bichhDi hui naddi kis dasht mein bahti hai
phir jaanib-e-dariya aa aur shamil-e-dariya ho
aafaq-e-bulandi se aawaz ye aati hai
ek asr mein shamil ho ek pal se alahada ho
lamhe ki haqiqat kya sadiyon ke tanazur mein
lekin jise tu chahe wo rashk-e-zamana ho
is dhup ke rahi ko anjam se kuchh pahle
ek aisi masafat de jis par tera saya ho
aisa na ho wo mange tasdiq ka ek lamha
aur hum ne wahi lamha mahfuz na rakkha ho
Ghazal
Ek qatra-e-mani se afkar ka dariya ho
Khaavar Ejaz