ek qafila hai bin tere ham-rah safar mein
ashk aankh mein hai dil mein hai dagh aah jigar mein
aaram mujhe bin tere ek pal nahin ghar mein
jun mardumak-e-dida hun din raat safar mein
phirta hai wo gul-posh mere dida-e-tar mein
hai shoala-e-jawwala ki taswir bhanwar mein
suraKH yahan surat-e-fawwara hain sar mein
dikhlaun tamasha jo mujhe chhoD de ghar mein
rashk aae na kyun mujh ko ki tu dekh zar-o-sim
rakhta hai qadam palla-e-KHurshid-o-qamar mein
main in dur-e-shahwar ke ashkon se idhar aa
taulunga biTha kar tujhe hairan nazar mein
aa dekh na hans hans ke rula mujh ko sitamgar
ek nuh ka tufan hai mere dida-e-tar mein
aks-e-lab-e-pan-KHurda se dandan hain tere surKH
ya aatish-e-yaqut hai ye aab-e-guhar mein
baz aao shikar-afgani se hath uThao
bhaale ko miyan kis liye rakhte ho kamar mein
rahti hai baham zulf bana gosh se tere
kuchh farq nahin hai sar-e-mu sham-o-sahar mein
hai is mein raqam haal-e-siyah-baKHti-e-ashiq
ye nama koi bandh do ab zagh ke par mein
ye bhi koi insaf hai ai KHana-KHarab aah
auron ko to le jae hai tu din diye ghar mein
aur hum jo hain so dekhne ko bhi tere tarsen
diwar mein raKHna hai na suraKH hai dar mein
kis wajh 'nasir' us lab-e-shirin pe na ho KHal
hota watan-e-mor to hai tang shakar mein
Ghazal
Ek qafila hai bin tere ham-rah safar mein
Shah Naseer