اردو हिंदी
Ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi | Shaahi Shayari
ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi

Ghazal

Ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi

Ahmad Mushtaq

;

ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi
bahar KHizan ka zor tha andar andheri raat thi

aise pareshan to na the TuTe hue sannahaTe
jab ishq ki tere mere gham par basar-auqat thi

kuchh tum kaho tum ne kahan kaise guzare roz-o-shab
apne na milne ka sabab to gardish-e-haalat thi

ek KHamushi thi tar-ba-tar diwar-e-mizhgan se udhar
pahuncha hua paigham tha barsi hui barsat thi

sab phul darwazon mein the sab rang aawazon mein the
ek shahr dekha tha kabhi us shahr ki kya baat thi

ye hain nae logon ke ghar sach hai ab un ko kya KHabar
dil bhi kisi ka nam tha gham bhi kisi ki zat thi