ek parinda shaKH par baiTha hua
hasraton se aasman takta hua
ek sadi ki dastan kahta hua
ek shajar dalan mein sukha hua
ek zamin pairon talak simTi hui
ek samundar dur tak phaila hua
ek kahani phir janam leti hui
ek fasana dafn phir hota hua
ek kiran aflak se aati hui
ek andhera chand par baiTha hua
ek zamin do bund ko tarsi hui
ek nagar sailab mein Duba hua
ek kashti gharq-e-KHun hoti hui
ek masiha chhoD kar jata hua
ek chiDiya chahchahen karti hui
ek shikari taq mein baiTha hua
ek gilahri peD par chaDhti hui
ek musawwir soch mein Duba hua
ek Dagar su-e-falak jati hui
ek sitara baam par utra hua
ek ghazal phir dastaken deti hui
ek tasawwur phir badan leta hua
Ghazal
Ek parinda shaKH par baiTha hua
Ain Irfan