ek parinda sar-e-diwar bhi baqi na raha
ab to parwaz ka didar bhi baqi na raha
habs aisa tha ki sae mein sulag uTThe gulab
lu chali aisi ki gulzar bhi baqi na raha
log dam sadh gae KHauf ne ghera aise
koi andesha-e-be-kar bhi baqi na raha
hadisa kya hua bikhre hue sannaTe mein
lafz se rishta-e-izhaar bhi baqi na raha
ek wahshat hi mataa-e-gham-e-jaanan nikli
lutf-e-dildari-e-gham-KHwar bhi baqi na raha
jaan sisakti rahi KHwahish ke bayabanon mein
shauq-e-har-lahza ka aazar bhi baqi na raha
dil bhi yaadon ki kaDi dhup mein kumhla sa gaya
aur koi saya-e-diwar bhi baqi na raha
aisi virani hai KHud maut bhi katra ke chali
koi marne ka saza-war bhi baqi na raha
Ghazal
Ek parinda sar-e-diwar bhi baqi na raha
Mah Talat Zahidi