اردو हिंदी
Ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko | Shaahi Shayari
ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko

Ghazal

Ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko

Bashir Badr

;

ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko
ab bhi ye qudrat kahan hai aadmi ki zat ko

jin ka sara jism hota hai hamari hi tarah
phul kuchh aise bhi khilte hain hamesha raat ko

ek ek kar ke sabhi kapDe badan se gir chuke
subh phir hum ye kafan pahnaenge jazbaat ko

pichhe pichhe raat thi taron ka ek lashkar liye
rail ki paTri pe suraj chal raha tha raat ko

aab o KHak o baad mein bhi lahar wo aa jae hai
surKH kar deti hai dam bhar mein jo pili dhat ko

subh bistar band hai jis mein lipaT jate hain hum
ek safar ke baad phir khulte hain aadhi raat ko

sar pe suraj ke hamare pyar ka saya rahe
mamta ka jism mange zindagi ki baat ko