ek pareshani alag thi aur pashemani alag
umr bhar karte rahe hum dudh aur pani alag
ret hi donon jagah thi zer-e-mehr-o-zer-e-ab
misra-e-ula se kab tha misra-e-sani alag
dasht mein pahle hi raushan thi babulon par bahaar
de rahe hain shahr mein kanTon ko sab pani alag
kuchh kumak chahi to zambil-e-hawa KHali mili
ghaTiyon mein kho gaya naqsh-e-sulaimani alag
ret samjhaute ki KHatir nachti hai dhup mein
baadalon ki zid juda hai meri man-mani alag
muddai hain barf baalu raat kanTe tap hawa
jism par hai faujdari jaan pe diwani alag
wo falak sangit mein miTTi ki dhun to kya hua
saregama se kahin hota hai padhani alag
fan mein taqat-war bahaw chashm-e-do-aba ka hai
'zeb-ghauri' se kahan 'tafzil' hain 'bani' alag
Ghazal
Ek pareshani alag thi aur pashemani alag
Tafzeel Ahmad