ek pal kahin ruke the safar yaad aa gaya
phulon ko hansta dekh ke ghar yaad aa gaya
titli ke sath aai teri yaad bhi hamein
rakkha hua kitab mein par yaad aa gaya
baiThe the jis ki chhanw mein hum donon muddaton
kya jaane aaj kyun wo shajar yaad aa gaya
sarhad se koi aaya hai phir KHun mangne
ek man ko apna laKHt-e-jigar yaad aa gaya
phenka tha main ne tanz ka patthar kisi ki samt
'ghaalib' ki tarah apna hi sar yaad aa gaya
Ghazal
Ek pal kahin ruke the safar yaad aa gaya
Farooq Bakshi