اردو हिंदी
Ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya | Shaahi Shayari
ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya

Ghazal

Ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya

Adeem Hashmi

;

ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya
aise laga ki ek zamana guzar gaya

sab ke liye buland rahe hath umr bhar
apne liye duaon ka lamha guzar gaya

koi hujum-e-dahr mein karta raha talash
koi rah-e-hayat se tanha guzar gaya

milna to KHair us ko nasibon ki baat hai
dekhe hue bhi us ko zamana guzar gaya

dil yun kaTa hua hai kisi ki judai mein
jaise kisi zamin se dariya guzar gaya

is baat ka malal bahut hai mujhe 'adim'
wo mere samne se akela guzar gaya

hum dekhne ka Dhang samajhte rahe 'adim'
itne mein zindagi ka tamasha guzar gaya

baqi bas ek nam-e-KHuda rah gaya 'adim'
sab kuchh baha ke waqt ka dariya guzar gaya