ek nihatta aadmi tadbir se
kya laDe taqdir ki shamshir se
muskurana zer-e-lab har waqt hi
koi sikhe aap ki taswir se
phul se pesh aaiye narmi ke sath
kaTiye shamshir ko shamshir se
dil mein teri yaad se hai raushni
aankh raushan hai teri taswir se
apne diwane ki betabi ka haal
puchhiye TuTi hui zanjir se
Ghazal
Ek nihatta aadmi tadbir se
Jigar Jalandhari