ek nigah-e-dilbari meri taraf
zindagi aa jaegi meri taraf
sim-o-zar ka ek shajar us ke liye
shaKH-e-ilm-o-agahi meri taraf
mere andar bhi andhera hai bahut
raushni ai raushni meri taraf
sair-e-gul sair-e-chaman sab us ke nam
shahr bhar ki na-KHushi meri taraf
dast-e-majnun ke hiran kale hue
barf si girti hui meri taraf
us ke dast-e-naz mein lakhon hunar
mera pa-e-na-rasi meri taraf
main ki 'nami' pasdar-e-fikr-nau
jurm-ha-e-guftani meri taraf

Ghazal
Ek nigah-e-dilbari meri taraf
Nami Ansari