ek nigah-e-be-ruKHi se gharq hote zaiqe
lo chakho tahlil gharb-o-sharq hote zaiqe
tab samajh mein aa bhi jate un ki duri ke sabab
jab zamin-o-asman ke farq hote zaiqe
tu samajh sakta nahin hai ishq ki mearaj ko
tu ne chakkhe hi nahin hain barq hote zaiqe
umr guzri par na samjha zaiqon ke farq ko
zarq lagte zaiqe the barq hote zaiqe
Ghazal
Ek nigah-e-be-ruKHi se gharq hote zaiqe
Sarwat Mukhtar