اردو हिंदी
Ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka | Shaahi Shayari
ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka

Ghazal

Ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka

Ahsan Marahravi

;

ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka
ye to adna sa karishma hai nigah-e-yar ka

ghair mumkin hai ki ho pamal koi hashr mein
ho na jab tak kuchh ishaara aap ki raftar ka

hazrat-e-adam se ta in dam hue sab ishq dost
hai azal se daur daura husn ki sarkar ka

hum jo mar kar ji uThe is par tajjub kya ki hai
wo karamat chaal ki ye mojaza guftar ka

aap ke ghamze uThaun ghair ke tane sunun
banda parwar main ne chhoDa ishq bhi sarkar ka

aablon ko sar uThane ki zara mohlat nahin
hai karam sahra-nawardi mein ye nok-e-KHar ka

is se baDh kar aap 'ahsan' chahte hain aur kya
doston ki dad hai goya sila ashaar ka