ek naya karb mere dil mein janam leta hai
qafila dard ka kuchh der jo dam leta hai
rang pata hai mere KHun-e-jigar se gul-e-sher
sabza-e-fikr meri aankh se nam leta hai
aabru haqq-o-sadaqat ki baDha deta hai
jab bhi suqraat koi saghar-e-sam leta hai
raat ke sae mein shabnam ke guhar Dhalte hain
raat ki kokh se KHurshid janam leta hai
zehn be-nam dhundlakon mein bhaTak jata hai
aaj fankar jo hathon mein qalam leta hai
jis ko ho daulat-e-ehsas mayassar 'taib'
chain wo kar-gah-e-zist mein kam leta hai

Ghazal
Ek naya karb mere dil mein janam leta hai
Hafiz Taib